Friday, May 18, 2012

<===WO HUMSAFAR THA MAGAR===>

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi              
Ke dhoop chayon ka alam raha,judaai na thi


Na apna ranj na auron ka dukh,na tera malal
Shab`e firaq kabhi hum nay yun ganwayi na thi


Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi


Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi


Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
Kisay pukaar raha tha wo doobta howa din ?
Sadaa tiu aayi laikin koi duhaayi na thi


Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat
Kabhi yeh marhala jaisay keh ashnayi na thi


Ajeeb hoti hay rah`e sukhan bhi dekh naseer
Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasayi na thi

No comments:

Post a Comment